Ye Jo Ishaq Tha, Ye Jo Piyaar Tha, Mera Khwaab Tha,
Sar-e-Dasht Jo Be Nazer Perra, Woh Saraab Tha,
Tairay Piyar Mien, Mairi Chahatoun Ki Thi Bai Bassii,
Mujay Kya Khaber, Ye Gunnah Tha Kay Swaab Tha,
Dil-O-Jan Mien Jaisay Attak Gya Koi Khaar Sa,
Mairay Kot Per Tairay Haath Ka Jo Ghulaab Tha,
Woh Wisaal Tha Kay Firaaq Tha, Mairi Zaat Say,
Mairay Pas Koi Swaal Tha, Na Jawaab Thaa,
Mairay Saad Chorre Dey Sochna Kay Ye ISHAQ Hay,
Jissay Piyaar Tu Nay Samjh Liya, Woh Azaab Tha,





